Haath badha kar dekhna….
2008 November 21
Yun akele chalne se to milti nahi manzil,
Kabhi dil kare to haath badha kar dekhna…
Shayad khada ho koi dil le kar raah mein,
Tum manzil se nazar hataa kar dekhna…
Anjaan raston se hi to maza hai safar ka,
Apni kismet ko kabhi aazma kar dekhna…
Rakhe hain taa-umr phoonk phoonk ke kadam,
Kabhi bekhudi ka bhi lutf utha kar dekhna…
Tum waqt ki lehron se kab tak bachoge ujjwal,
Kabhi unns ki kashti chala kar dekhna…
subhaan allah
good going ujju ji
pal
Touching…………
Its me again
Thanks Pal and Rohini!
Phoonk phoonk ke kadam wali line bahut achhi hai
Thanks!